pinjre mai bethi nanhi chidiya
puche kyu hai ked usse kar diya
aajad ghumta ae manush
kya ajadi ka haq sirf tujhe hi diya
har koi apni jindagi jeeta
koi kisi ko na dhukh puchata
apne swarth k liye tune
kyu manwta ko kho diya
yeh tu kese h bhul raha
har ek din hai kam ho raha
hisaab dena hai jakar bhi waha
kyu apni ganit ko bhula diya
kudrat ki iss anmol ibadat k
khilaf kyu hai ja raha
itna berehm bankar
kyu insaniyat ko dhoka diya
har koi na hai ek jesa yaha
koi uttar toh koi dakshin raha
iss sansar ki bhid mai
kyu sansarikta ko kho diya
etbaar agar na hai tujhe
toh ibadat ka na yu apmaan kar
khuda ki rehmato ko
kyu yu hai tune tukhra diya
kyu bichata tu yeh jaal hai
jismai jeena tera behaal hai
ab toh uth ab toh smbhal
ek tohkar ne hai itna sikha diya
uski hai yeh nirali duniya
dukh uske uski hi hai khushiya
usne toh tha sbko ajad kiya
dusro ki ajadi ko kese tune bhula diya
pinjre mai bethi nanhi si chidiya
puche kyu hai ked usse kar diya
ajad ghumta ae manush
kya ajadi ka haq sirf tujhe hi diya
No comments:
Post a Comment